Doston aaj ki is post mein ham baat karne Wale Hain moj app par followers Kaise badhaye, agar aap moj application per Kafi mehnat karke videos banaa rahe hain, lekin aapke followers nahin badh rahe hain aur aap kafi pareshan Ho Gaye Ho, to Aaj ki is post mein main aapko kuchh aisi tips bataunga, jiska aap use karke apne josh account par followers badhane sakte hain. Josh App Par followers Kaise Badhaye
aur jo bhi aap followers badhane wale ho vah 100% genuine followers badhane wale ho koi bhi fake followers nahin hoga, real tarike se aap Apne moj account par followers badhane wale ho.
Doston sabhi chahte Hain ki ham bhi moj per famous Ho jaaye, hamare bhi kafi sare followers Ho aur hamen bhi log support Karen, hamari bhi videos per acche khase likes aaye, lekin aapke sath aisa nahin hota hai, aapke followers nahin badhate hain, aapko acche likes nahin milte Hain.
lekin dost aapko pareshan nahin hona hai, main aapko jo tarike bataunga Jo tips main aapko Dunga usse aap ke Aaj followers badhane Wale Hain. Mx Takatak Par Followers Kaise Badhaye
Moj TikTok Alternative Best Short video Platform?
India mein tiktok Jaise hi ban hua, to log kafi pareshaan ho gai, kiyonki tiktok par creators ke Millions of followers the wo sab bekaar chale gai, aur usi ke saath saath short videos ko dekh kar log entertain bhi hote the wo bhi ab band ho chuka tha.
lekin tiktok ban hone ke bad turant moj application ko launch Kiya Gaya jo tiktok ki hi tarah short video platform hai, aur ye same dusra tiktok hi hai. ab jaise aap tiktok par videos create karke millions of followers aapne gain kiye the ab waise aap moj par videos create karke yahaan par followers gain kar sakte hai.
aur yahaan par popular ho sakte hai, aur sabse achi baat ye hai ki ye indian app hai, jo ban hone chancess nahi hai, tiktok chinees app tha isliye usko ban kiya gaya tha, lekin ye indian app hai. jo ban nahi hoga, aap be fikar iska use kar sakte hai. aur yahaan par famus ho sakte hai. me aapko batane wala hun kaise aap yahaan par apne tik tok ki tarah followers badha sakte hai. instagram par follower kaise badhaye
Moj Don’t Get Free Followers With App?
Vaise to doston Kafi sare applications bhi aate Hain, jo aapko followers increases karke de dete Hain, lekin usmein hota kya hai, vah followers aapko real followers nahin milte Hain, agar aap log followers application ke through badhaate ho, to unse aapko koi fayda nahin hone wala.
kyunki vah followers boat followers hote hai, aur aise mein jab aap apni videos ko upload kareng,e to vah followers aapki video ko watch nahin karenge, aur na hi aapki video ko like karenge to aise mein un-followers se aapko koi fayda nahin Hoga. agar aap application ke through follower badhate ho.
wo sirf ek number ke liye followers hote hai, agar aapko sirf number ke liye followers badhana chahte hai to aap application ka use kar sakteh hai.
Aur aise main aapke account ko problem a sakti hai, kyunki ki Moj app ka algorithm bada hi smart hai, aise followers ko detect kar leta hai, aur aapke account ko freeze kar dega, yani aapke followers and video par views bilkul Bhi nahin aaenge.
to aise main aapka account bhi freeze ho jaega aur aapke new followers bhi nahin badenge aur na hi aapka video viral hoga, aur aise mein aap Moj App per famous bhi nahin Ho payenge.
Lekin doston aapko tantion nahi lena main aapko batata hun, kaise aap Bina application ke followers badha sakte hain aur Josh App per famous ho sakte hai.
How to Gain Genuine Followers on Moj App?
Step (1-)Â Doston agar aapko Moj account par followers badhane hai, to aapko Apne Moj account per regular Active reh kar kam karna hoga, aapko 1 week mein kam se kam 4 videos upload jarur se karne hain. yeh main aapko kam se kam bata raha hun itne aapko jarur se upload karne hain.
aur agar ho sake to Daily video upload Karen, ek video agar aap daily upload kar sakte hain to kafi jyada acchi baat hai, lekin agar aap daily video upload nahin kar sakte, to aap hafte mein kam se kam 4 videos jarur se upload Karen.
is se aapka Jo account hai vah freeze nahin hota hai, aur aapke videos Moj app recommend karta rahata hai, new users ko aapke videos bhejta rehta hai, aur aapko Vahan se followers likes milte rahte hain. to aapko Apne account per regular rahake kam karna hai.
Step (2-)Dosto Josh per jab Bhi koi new trend chalta hai to aapko us per jald se jald video banane ki koshish Karni hai, kyunki aap trend per video jald se jald banaoge, to vah aap ka video viral hoga, aur us samay aap ki video per kafi jyada acche likes and views aaenge, aur vah video per aapko kafi jyada acche followers bhi gain honge.
kyunki dekho agar aapka video chalega to hi kisi Ko pata chalega, ke aap kaisi video banate ho, aur aap ko tabhi koi follow kar sakta hai, agar aap ki video koi nahin dekhega to kaise pata chalega aap kaise video banate hai, aapko follow kare ya naa karen. to aapko trend per video jarur banana hai taki aap ka video viral ho aur aap ko kafi acche followers mile.
Step (3-)Doston jab aap apni video ko upload karen, to usmein aapko trending hashtag ka use Karna hai, agar aap apni videos mein best hashtag ka use karoge tabhi aap ki vah video for you page main jayegi, aur aapko likes and views milenge aur followers milenge.
to guys aap apni video mein best-hashtags ka use karenge, aur jo aapki video ka topic hai aapne kisi song par lisping ki hai, ya FIR koi comedy hai to aapko #hashtag bhi vaise hi use karne hain, tabhi aap ki video ko Moj app viral Karega and aapko followers milenge.
best hashtag Kaise pata Karen, jab aap video upload karte hai to wahaan par josh aapko khud se sugest karta hai, aapko konse hashtag apni videos me dalna hai. aap unka use kar sakte hai.
to ye kuch tips thi doston agar aap in tips ko follow karenge to aapke moj app par kafi ziyada followers badhenge, aur aap jald famus honge, to aap in tips ka zaroor se use kare. Thank You