5 Ways to grow Josh Account 100% Free

Josh App Par Followers Kaise Badhaye?

Doston Aaj ham baat karne Wale Hain Josh App par followers Likes Kaise badhaye, vah bhi bilkul free mein, Jaise hi tik tok india me ban hua, to turant josh app ne Entry mar diya tha, aur josh ne tiktok ki jagah, le liya tha. ye tiktok ka ultar native best shorts video platform hai, Jahan per aap apne shorts video create karke a famous ho sakte hain. MX Takatak Par Followers Kaise Basdhaye

Dosto famous hone ke liye aapke pass mein main kafi saare followers hone chahiye agar kisi bhi platform per aapke pass mein kafi jyada followers hai, aapke account per to log aapko jan ne lagte hai aur pasand karne lagte hai. jab yeh aapke saath hone lage to samjho aap famus ho chuke ho.

Lekin aap mein se kafi sare users aise Hain, Jin ke pass mein followers bahut hi jyada kam hai, aur aise mein unhen koi bhi nahin jaanta hai, lekin doston aapko udas nahi hona hai, me aapko bataunga aapko followers kaise badhane hai.

aur bhi bilkul free mein, kaise aap log bhi followers badha sakte ho Apne Josh Account per aur aap bhi Josh App par famous ho sakte ho. Instagram Par Followers Kaise Badhaye

Josh Free Followers With App?

Vaise to doston Kafi sare applications bhi aate Hain, jo aapko followers increases karke de dete Hain, lekin usmein hota kya hai, vah followers aapko real followers nahin milte Hain, agar aap log followers application ke through badhaate ho, to unse aapko koi fayda nahin hone wala.

kyunki vah followers boat followers hote hai, aur aise mein jab aap apni videos ko upload kareng,e to vah followers aapki video ko watch nahin karenge, aur na hi aapki video ko like karenge to aise mein un-followers se aapko koi fayda nahin Hoga. agar aap application ke through follower badhate ho.

wo sirf ek number ke liye followers hote hai, agar aapko sirf number ke liye followers badhana chahte hai to aap application ka use kar sakteh hai.

Aur aise main aapke account ko problem a sakti hai, kyunki ki Josh app ka algorithm bada hi smart hai, aise followers ko detect kar leta hai, aur aapke account ko freeze kar dega, yani aapke followers and video par views bilkul Bhi nahin aaenge.

to aise main aapke account ko loss hi hoga, bajai followers badhne ke aapke followers Ghatne lagenge, Ek chij our hai, yah Jo followers hote Hain, vah aapke account per kuchh time ke liye hi rahte Hain, uske bad mein aapke yah followers bhi decrease Ho jaate Hain.

to aise main aapka account bhi freeze ho jaega aur aapke new followers bhi nahin badenge aur na hi aapka video viral hoga, aur aise mein aap Josh App per famous bhi nahin Ho payenge.

To aapko application se followers nahin badhane hai kuchh applications genuine Hoti hai unse aap badha sakte ho, lekin jyadatar applications aapko boat followers hi deti hai.

Lekin doston aapko tantion nahi lena main aapko batata hun, kaise aap Bina application ke followers badha sakte hain aur Josh App per famous ho sakte hai.

Increase Genuine Followers on Josh App?

Step (1-) Doston agar aapko Josh account par followers badhane hai, to aapko Apne Josh account per regular kam karna hoga, aapko 1 week mein kam se kam 4 videos upload jarur se karne hain. yeh main aapko kam se kam bata raha hun itne aapko jarur se upload karne hain.

aur agar ho sake to Daily video upload Karen, ek video agar aap daily upload kar sakte hain to kafi jyada acchi baat hai, lekin agar aap daily video upload nahin kar sakte, to aap hafte mein kam se kam 4 videos jarur se upload Karen.

is se aapka Jo account hai vah freeze nahin hota hai, aur aapke videos Josh app recommend karta rahata hai, new users ko aapke videos bhejta rehta hai, aur aapko vahan se followers likes milte rahte hain. to aapko Apne account per regular rahake kam karna hai.

Step (2-)Dosto Josh per jab Bhi koi new trend chalta hai to aapko us per jald se jald video banane ki koshish Karni hai, kyunki aap trend per video jald se jald banaoge, to vah aap ka video viral hoga, aur us samay aap ki video per kafi jyada acche likes and views aaenge, aur vah video per aapko kafi jyada acche followers bhi gain honge.

kyunki dekho agar aapka video chalega to hi kisi Ko pata chalega, ke aap kaisi video banate ho, aur aap ko tabhi koi follow kar sakta hai, agar aap ki video koi nahin dekhega to kaise pata chalega aap kaise video banate hai, aapko follow kare ya naa karen. to aapko trend per video jarur banana hai taki aap ka video viral ho aur aap ko kafi acche followers mile.

Step (3-)Doston jab aap apni video ko upload karen, to usmein aapko trending hashtag ka use Karna hai, agar aap apni videos mein best hashtag ka use karoge tabhi aap ki vah video for you page main jayegi, aur aapko likes and views milenge aur followers milenge.

to guys aap apni video mein best-hashtags ka use karenge, aur jo aapki video ka topic hai aapne kisi song par lisping ki hai, ya FIR koi comedy hai to aapko #hashtag bhi vaise hi use karne hain, tabhi aap ki video ko Josh app viral Karega and aapko followers milenge.

best hashtag Kaise pata Karen, waise to iske application bhi aate hai app free hai aap play store se jakar download kar sakte hai. aur jab aap video upload karte hai to wahaan par josh aapko khud se sugest karta hai, aapko konse hashtag apni videos me dalna hai. aap unka use kar sakte hai.

Step (4-)Ab doston jab aap apni video ko upload Karte hai, to aapko apni video par Ek best cover choose Karna hai, option hota hai ke aap apni video per cover lagaye, jo bhi aapki video ka achcha part hai, to usko aap select Karen.

jab Bhi aapki profile per koi visit Karega to usko vah cover hi show hoga, aur usi se pata chalta hai ki is video mein kya khaas hai, agar aap apni video par best cover set karoge to aap ki vah video per jyada views aaenge and aapko jyada followers milenge. to aapko ek best cover bhi choose Karna hai, taki aapko jyada views and followers.

Step (5-)Doston sabhi chijon ko follow karne ke bad ab agar aap ki video ka content hi achcha nahin hoga, to aapko followers nahin Milenge, to aap apni video mein ek best content bhi Dena, kyunki agar aapka video hi achcha nahin Hoga to koi bhi usko like nahin Karega aur aapko follow bhi nahin Karega.

to aap apna Pura effort lagakar apni video ek bahut acchi video create karna, taki vah logon Ko pasand aaye aur tabhi aapko followers milenge.

to ye kuch tarike the followers ko increase karne ke aap in tarike se apne josh account par free me organic followers badha sakte hai.

Leave a Comment