Doston aaj ki is post mein ham baat Karne Wale Hain, Instagram per followers kaise badhaye likes kaise badhaye organic aur vah Bhi bilkul free mein, Dosto is post mein ham kisi application ya FIR kisi website ke through Instagram par followers nahin badhane Wale Hain.
kyunki agar aap log kisi application ya FIR kisi website ke through followers badhate ho to vah followers organic nahin hote hain, real followers nahin hote Hain. Eran Money from youtube 2022
aur agar aise mein vah followers agar aap log Apne Instagram account per badha lete ho, to unse aapko koi fayda nahin hota hai, jab aap apni post upload Karte ho to us per aapko likes nahin milne wale hai, kyunki vah followers aapke real followers nahin hote Hain.
to aise mein agar aap log application ya FIR website se followers badha lete ho to unse aapko koi fayda nahin hota hai. vah sirf ek number hota hai. agar aapko number ke liye followers badhane hai tab aap application ya FIR website ke use karke followers badha sakte ho.
lekin agar aapko chahie ki vah followers aise ho Jo Bhi main post aap Dale wo us per likes bhi Karen, aapko comments vagaira sabhi chijen karen. tab aap is post per bilkul sahi Aaye Ho, main aapko batane wala hun kaise aap log 100% real active followers and genuine followers Apne Instagram account per increase kar sakte hain. and method bilkul free hai.
3-Easy Tips to Get More Followers on Instagram?
Doston agar aapko organic Instagram followers badhane Hain, to uske liye aapko Apne Instagram account per active rahakar kam karna hoga, tabhi aap apne Instagram par followers badhaye sakte hain.
Tips(1)Doston aapko Apne Instagram account per daily post Karna Hoga, agar aap daily post nahin kar sakte to aap ko 1-week mein main 5 post jarur se Karna hai, agar aap is tarike se apne Instagram account per post karte ho, to aapka account freeze nahin hota hai, aur aapko reach milti rahti hai. AAP ke Instagram account par followers increase hote rahte hain.
agar aap apne Instagram account per kabhi kabhi post karte Hain, to aise mein Instagram aapke account ki reach rok deta hai, aapka account freeze ho jata hai, aur aise main aapko followers nahin mil paate, kyunki aapki Jo post hai vah logon ke samne nahin ja paati aur aapko aise mein followers nahin mil paate.
to aap ko Apne Instagram par active rahana hai, daily aapko post karna hai daily nahin kar sakte to aapko 1-week mein 5-post jarur se karna hai, tab aapko acchi growth milegi Apne Instagram account per.
Tips(2) Jab aap Apne Instagram account per post Karte ho to aap normally aise hi post kar dete ho, lekin aapko yah galti nahin Karni hai, jab aap apne Instagram per post Karte hain, tab vahan per aapko trending and best hashtag ka use Karna hai.
apni use post mein jab aap trending and viral #hashtags ka use karenge to aapki post jyada logon ke samne dikhai jayegi, aur aise main aapko jyada followers Milenge and usi ke sath sath aapko jyada likes bhi Milenge. to aapko apni post upload Karte time trending best hashtag ka use Karna hai.
Viral and trending hashtag aap kaise pata kar sakte ho, iske liye aapko Play Store per kafi sari application Se mil jayegi, jinko aap download karke Instagram ke trending and viral hairstyle easily vahan se find kar sakte hain.
aur Bina play store ki application ke Bhi aapko Instagram par jab aap post karte ho, to apni post ke hisab se aap vahan per #hashtag type karte ho, to aapko vahan per trending hashtag mil jate hai, to is tarike se aap trending and viral hashtag ko find kar sakte hain.
Tips(3)Jo bhi aap apne Instagram account per post kar rahe ho, chahe vah Instagram reals video ho ya FIR koi post ya FIR igtv video Ho, usko aap ko best edit karna hai jitna jyada aap acche se edit karoge utna jyada aapka reels video ya FIR koi post kisi Ko pasand aaega, and acche se edit hoga tabhi log usko pasand karenge aapko like karenge and uske sath sath aapko follow karenge.
Make Best Content to Get More-Followers?
Doston aap Jo Bhi content Apne Instagram per post Karen use aap ko ek best content mein convert karna hoga, apna jo bhi video hai ya FIR post hai, use aapko bahut achcha banana hoga, agar aapka content logon Ko pasand aaega, tabhi vah usko like karenge and tabhi vah aapko follow karenge.
aapko Apne content ko banate time Dhyan dena hai, ki aapko use bahut jyada interesting banana hai taki vah logon Ko kafi jyada pasand aaye, aur vah aapko follow Karen.
kiyonki aap bhi tabhi kisi ko follow and like karte ho agar aapko uske videos ya post pasand aate hai, tabhi aap follow karte hai to aapko bhi yahi dhiyan rakhna hai apna best se best content dena hai taki aapka content bhi log pasand karen and aapko wo follow kare.
Check your Inshigts to Grow your Instagram Account?
Doston aap ko apna insights bhi daily check karna hai, agar aap apne insights ko check karenge to aapko yahan se pata chalta hai, ki aapke Instagram account ko kya reach mil rahi hai, aur aapki Instagram page per log audience kya engage kar rahi hai, aur aapke kitne time mein kitne followers increase ho rahe hain.
jab aap apna account ka yah sab analytics check karenge tab aap easily Apne account ko grow kar payenge, agar aapke account ki reach mines mein ja rahi hai, to aapko Apne account per active rehkar kam karna hoga.
jab aap apne account per Kam nahin karte Hain, kabhi kabhi Kam karte Hain, to aapke account ki reach ruk jaati hai, aur aapke account per log acche se engage nahin kar paate Hain, aur aise me aapke account par likes and followers increase nahi hote.
to aapko yah insights mein hi pata chalta hai, aur aap apne account per FIR regular and consistency se kam karke Apne account ko grow kar sakte hain, insights main aapko har ek activity ke data ka pata chalta hai, jisse aap easily samajh ke Apne account ko grow kar sakte hai.
To doston yah kuchh tips thi jiski madad se aap apne instagram account per organic 100% real followers ko increase kar sakte hai, Bina kisi application aur Bina kisi website ke.