Get YouTube Silver Play Button 100% After Reject YT

Guys aaj ki is post me ham baat Karne Wale Hain, YouTube silver play button ke bare main, YouTube silver play button kiya hota hai, silver play button YouTube ka Ek award hai, Jo Ek YouTuber ko 100K yaani 1 Laakh subscriber complete hone per diya jata hai.

Tu Aaj main aapko batane wala hun, Kaise aap YouTube se silver playbutton pa sakte hain, doston silver play button agar aapko YouTube se chahiye to uska criteria hota hai. jo 100K subscribers Hota hai. aapko pehle Apne YouTube channel per 100K subscribers ka milestone complete Karna Hoga. tab jakar aap ko YouTube ka silver play button mil payega. Also read: Fix You Already Have Adsense Account?

aur agar aapane 100K subscribers complete kar liye Hain to aap Kaise silver play button pa sakte hain, main aapko complete detail mein batane wala hun.

YouTube Silver PlayButton Eligibility?

1-Doston pahla to aapke channel per is award ko pane ke liye 100K subscribers ka hona jaruri hai agar aapke channel per hundred k subscribers Hain to aap iske liye eligible Ho.

2-Ab dusron point doston aapke channel per subscribers aapane complete kar liye, to aap ke channel per good content bhi hona chahiye, aur vah content aapka hi hona chahiye, agar aap kisi ka contact copy karte hain to aise mein aapko Award nahin diya jaega.

award sirf creator Ko Diya jata hai agar aap khud se videos create karte hain Apne videos dalte Hain tabhi aapko award Diya jaega. agar aap yah chij Apne channel ko per main follow karte Hain to aap iske liye eligible hai.

3-Aapke channel ke upar main koi Bhi copyright strike ya FIR koi community guideline strike Nahin hone chahiye. agar aapke channel ke upar main copyright strike community guideline strike hai, to jab tak yah remove Nahin Hoga expire nahin hoga, tab tak aapko award nahin Diya jaega, agar aap ke channel par strike community guideline Nahin hai to aap iske liye eligible hai.

4-Agar app apne channel ke upar mein ek achcha content dalte Hain valuable content dalte Hain, tabhi aap iske liye eligible honge, ek Aisa content jo dusre ki life me value add Karta ho. Also read: Earn money on YouTube 2022

3 Reasons youtube rejects your channel for giving a silver play button?

Doston pahle ham yah jante Hain aapke channel ko YouTube ne silver play button Dene Se Mana kyon Kiya, aapke channel ko reject kyon Kiya, ki aap ko yah award nahin diya ja sakta, aapka channel is award ke liye eligible nahin hai.

Aapka channel is award ke liye ke Karan se reject ho sakta hai, aur vah sabhi Karan main aapko batane wala hun, taki aap in future vah galti na Karen aur aapko dobara se YouTube award ke liye reject na Karen.

Reason (1) Pahla Karan YouTube aapke channel ko isliye reject Karta hai, agar aap apne channel per repeated content upload Karte Hain, repeated content ka matlab hai, aapne Kisi ek topic par video upload kiya, aur ab aap dobara Se vahi same topic par video upload karte ho. aur aise karke aapke channel per Kafi sare videos upload Ho jaate Hain.

jo ki same topic per hote Hain, aise mein YouTube isko repeated content bolata hai, yani ek hi content ko ek hi topic ko bar bar aap upload kiye ja rahe Ho, aur aise mein aap ek good creator nahin manae jaate ho, aur yah award sirf good creator yaani acche creator ko hi Diya jata hai. to agar aapke channel per repeated content hai, to aap ke channel ko is award se reject Kiya ja sakta hai.

Reason (2)Aapke channel ko is vajah se bhi award ke liye reject Kiya ja sakta hai, agar aapke channel per misleading content upload kiya jata hai, yaani aapane Jo apni video ke thumbnail per show kiya hai, vah aapki video mein hai hi nahin.

aise mein jo users us video ke thumbnail Ko dekhkar click kiya tha vah information usko video mein Mila hi nahin. to aise mein aap users ko mislead kar rahe ho. aur aise creators ko yah award nahin diya jata. agar aap apne channel par missleading content upload karte ho, to aapko award ke liye reject milega.

Reason (3)Is vajah se bhi aapke channel ko is award ke liye reject Kiya jata hai, agar aap apni video ke description mein kafi jyada keywords ka use karte hain, bahut jyada keyword dalte Hain to aise mein YouTube isko spam manta hai.

aise mein bhale hi aapko jyada views mil jaaye lekin aapko yah award nahin milega, aapko apni video ke description mein Sirf kuchh hi Keywords ka use Karna hai, jo aapki video se related hai 5 6 7 keyword ka hi use Karna hai.

lekin agar aap log bahut jyada ki keywords dalte Ho to aise mein vah spam mana jata hai aur aise creator ko award nahin diya jata, to aapka channel reject Kiya jaega.

How to Get Silver Play Button After Reject YouTube?

Ab dost ham baat karte hain agar YouTube channel aapka reject ho chuka hai, silver play button ke liye, to app Kaise dobara Se apna silver play button pa sakte hain. to sabse pahle doston aapko yah galtiyan sudharna Hoga.

jo maine aapko upar bataya hai, aapke channel per misleading content Ko hatana hoga, apni video ke description mein se vah sabhi spam keywords Ko hatana hoga, aur agar aap ke channel per repeated content hai, to aapko repeated content ko delete karna hoga.

agar aap log silver play button chahte ho to yah sabhi galtiyan aapko sudharna hogam tabhi jakar aapko silver play button mil payega. Apne description ko edit aur repeated content ko aapko remove karna hoga, kuchh videos, aur misleading thumbnail, title, tags, unko bhi sudhar Na hoga.

tab jakar aapko aapka silver play button milega. aur jab aapka channel ek bar reject ho jata hai, to aap usko 90 days ke bad hi, dobara youtube se appeal kar sakte hai, ke aapko silver play button chahiye. tabhi vah aapke channel ko check karenge 90 days se pehle nahi karenge.

To agar aap log taiyar Ho ine sabhi problem ko Apne channel se fix karne ke liye, to aap ready ho Apne is award ko pane ke liye, agar aap log yah problem ko fix nahin kar paate ho, to aapko award nahin diya jaega. Thank you?

Leave a Comment