You Already Have an Adsense Account, How To Fix this?

Doston aaj ki is post me ham Baat Karne Wale Hain, you already have an AdSense account problem ke bare mein, Kaise aap is problem ko solve kar sakte hain. Agar aapne Apne YouTube channel ke monetization enable Karne Ke Liye AdSense approval ke liye bheja, ya FIR Apne blog website ko monetize Karne ke liye AdSense approval ke liye apply Kiya.

aur Jaise hi aap apply Karte ho to uske kuchh time bad AdSense aapke use account ko review Karta hai aur uske bad mein aapko mail a jata hai, ki aapka AdSense approve nahin Hua reject Ho Gaya, problem you already have an AdSense account. Also, Read: AdSense Failed identity verification

Ab aise main aapka Adsense bar bar reject ho Raha hai profile aapko approval nahin mil raha hai, to ab is problem ko aap Kaise solve karoge main aapko complete detail mein batane wala hun Dhyan se is post ko read karte raho.

why did this problem come?

Doston yah problem tab aati hai agar aapne pahle Se AdSense account banaya hua hai, aur aapko pata nahin hai ki main ab se pahle koi AdSense banaya tha, per aap log kya karte ho jab aapko yah nahin pata hota ki mera ab se pahle koi adsense hai ya FIR nahin hai to aap log ek Naya AdSense account banate Ho vahi same naam se jo aap log pahle kabhi adsense banae the.

usi naam se aap dobara ek Naya adsense banaa lete ho aur tab aap logon Ko yah problem a jaati hai, kyunki AdSense account 1 person life mein ek hi bar banaa sakta hai. agar aap ek adsense banakar aap dobara se usi Naam per dusra adsense banaoge to adsense ki team check karegi aur aapko check karne ke bad error de degi. Also Read: Google Adsense Pin Not Receved?

ke aapke pass mein pahle Se ek AdSense banaa hua hai. aap log uska use Karen aur agar aap log uska use nahin karna chahte to aapko vah AdSense delete karna hoga aur tab aap ek dusra adsence banaa sakte hain. to isliye yah problem aati hai.

How to Solve You Already Have an Existing Adsense Account?

To doston ab baat karte hain, aap is problem ko kaise solve kar sakte ho. is problem ko solve karne ke main aapko do tarike bataunga aur aap in do tariko SE apni is problem ko solve kar sakte hain.

Solution(1) to doston dekho pahla Tarika to yah hai, aapko adsense ki taraf se jo email aaya ki aapke pass mein pahle Se ek AdSense account banaa hua hai, us email mein jo aapko gmail show kar raha hai, ki is gmail per aapka pehle se adsense banaa hua hai.

agar aapko us email ka pata hai to aap log usko login Karen aur us per Jo adsense banaa hua hai usko aap apne YouTube channel se connect Karen ya apne blog website se connect karen, to aapki ye problem solve ho jayegi aapko ye error nahi aayega.

Solution(2) aur agar aap us Gmail ko kho chuke hain, Jo adsense dikha raha hai, ki is Gmail per aapka adsense pehle se tha. agar aap usko login nahin kar pa rahe Ho to aise mein ab aapko doosra Tarika apnana hoga, uske liye aapko is AdSense account ko chhodna hoga, aur ab aapko ek fresh new adsense account banana hoga.

aur is bar jo aap new AdSense account banaoge, usmein aapko do teen chijon ka Dhyan rakhna hai, Sabse pahla aapko ek fresh new Gmail ID banani hai, ek aise mobile number se jo pahle aapne adsence mein use nahin kiya.

new Gmail id banane ke bad mein aapko ek aise Naam Se adsense banana hai jiske Naam per pahle Se koi AdSense account na banaa Ho. ab dekho aapne Apne Naam Se AdSense account banana chaha lekin aapko eror aa Gaya, ke aapke pass mein pahle Se ek AdSense account hai. to ab aap Jo naya AdSense account banaoge vah is naam se nahi banana yaani apne naam se nahin banana hai.

apni family ke kisi bhi member ke naam se banana hai, yah to aap apne papa ya FIR mummy ke naam se banaa sakte hain, ya FIR kisi ke Bhi name se bana sakte hai. new Gmail id aur ek nai bande ke naam per AdSense banana hoga.

ab aap Jaise hi ek nai Gmail ID aur ek nai bande ke naam se AdSense banaoge to aapki yah problem solve ho jayegi.

Can I link my bank account with someone else’s Adsense?

To doston ab aap soch rahe honge ki agar main AdSense kisi aur ke Naam Se banata hun to payment mein kaise le paunga, to doston baat yah hai adsense kisi ke Bhi Naam per banaa Ho agar aap chahte Hain ki payment mere bank mein aana chahie to aap apna bank account kisi ke Bhi AdSense account mein link kar sakte hain, aur payment aapke bank mein a jayegi.

Ismein aapko tension nahin lena hai aap kisi ke Bhi adsense mein apna bank account link kar sakte hain aur payment aapke Bank mein a jayegi, bus aapko sahi se a apna bank AdSense mein link karna hai hai aur Sahi tarike se agar aapane link Kiya to payment aapke Bank mein jayegi Bina kisi problem ke.

Leave a Comment