Earn Money From YouTube Channel in 2022-Unlimited

Doston aaj ki is post mein ham baat karne Wale Hain, How to Earn Money From YouTube Channel in 2022. kaise aap YouTube channel banakar Apne channel se Lakho rupya Kama sakte hain. Lakho main aapko bus bata raha hun aap log YouTube channel ke through bahut jyada Paisa Kama sakte hain. jitna ki aapane socha bhi nahin hoga.

kaise Kama sakte ho vah sabhi tarike main aapko batane wala hun, aap YouTube se kis kis tarike se Kama paisa kama sakte hai. (Earn Money? Also Read: You Already Have an Adsense Account, How To Fix this?


Start Channel & Earn Money From YouTube?

Doston YouTube channel se Paisa kamane se pahle, aapko apna YouTube channel start karna hoga yaani aapko apna ek YouTube channel banana hoga. tabhi aap YouTube se Paisa Kama sakte hai. ab YouTube channel kaise banate hain, iske upar aapko YouTube per kafi videos mil jaenge, Jahan per aap log un videos ko dekh kar badi hi aasani Se apna channel bana sakte hain.

aur YouTube channel banane ke bad mein aapko koi mehnge equipment ki jarurat nahin hai aapke pass mein jo mobile hai aap usi se start kar sakte hain, bus aapko ek Mic chahiye hoga, jo aap market se purchase kar sakte hain.

1000 rupaye ka mic a jata hai jo aapka achcha voice record kar dega, ab aap ready ho YouTube channel per kam karne ke liye. (Earn Money? Also Read: Reused Content on YouTube Channel? How Fix This?


Criteria to make money on YouTube?

Ab dekho aapka YouTube channel banane ke bad Se hi earning start nahin ho jata hai, YouTube channel banane ke bad YouTube ka kuchh eligibility hota hai, agar aap YouTube se Paisa kamana chahte Hain, to aapko us criteria ko complete Karna Hoga jo YouTube ab aapko deta hai.

ab yah criteria Kaun sa hai, guys aapko last 365 din main 1000 subscribers aur 4000 ghante ka watch time chahiye agar aap yah last 365 din mein complete kar lete ho, to aap apne channel ko monetize action ke liye apply kar sakte hain.

jab aap apply karenge to uske bad YouTube ki team aapke is channel ko review karegi Aur dekhegi yah channel hamari kisi policy ko violet to nahin karta hai, YouTube ki kuchh policy hoti hai agar aapne youtube ka 1000 subscribers and 4000 hours watchtime, criteria complete kar liya tab bhi aapka YouTube channel jaruri nahin hai ki monetize ho jaega.

kyunki YouTube ki kuchh policy hai, agar aapka channel vah policy ko voilet karta hai, to aapka channel reject ho jaega, monetize nahin kiya jaega. vah sabhi chijen sahi se check karte hain, aur jab unhen lagta hai, ke iska channel koi bhi hamari policy ko violet nahin karta hai, sabhi chijen sahi hai, tab vah aapke channel ko monetize karte Hain.

aur monetization ka jo time hota hai, vah 1 month hota hai, 1 mahine ke bich bich mein aapka Jo channel hai vah monetize kar denge. vaise to yah ek Mahina bolate hain lekin ismein jyada Se jyada 1 week lagta hai.

aur ek ya do din mein Bhi Ho jata hai. depend karta hai ki aapka Jo content hai vah Kitna achcha hai, agar Apne kisi ka kuchh copy nahin kiya hai, sabhi apna original content hai, to aapko jyada time nahin lagega aur aapka channel turant monetize ho jaega, ek ya do din mein. aur ab aap paisa kamane ke liye ready ho. Also read:AdSense Failed identity verification


3 ways to earn money from youtube?

Doston YouTube se a Paisa kamane ke teen tarike Hain, jis se aap YouTube se Paisa Kama sakte hain. sabhi tarike alag alag hai, aur sabhi se aap alag alag revenue generate kar sakte hain. aur bahut jyada Paisa Kama sakte hain, main aapko 3 tarike batane wala hun kis kis tarike se aap YouTube se Paisa Kama sakte hain.


(1) Earn with Adsense Doston pahla Tarika aap YouTube se Adsense ke through Paisa Kama sakte hai. jab aap apne YouTube channel ko monetization ke liye apply karte Hain, tab aap AdSense account create Karte Hain, aur yah vahi adsense account hai jiske through aap Paisa Kama sakte hai.

ab Jaise hi aapka channel monetize Ho jaega to aap ki video per ads aana shuru ho jayegi, aur vah add adsense ke through aati hai, Yani aapki videos per adsense add dikhega aur aapko us add ka Paisa dega, ek to Tarika ya hai aap adsense ke through earning kar sakte hain.


(2) Earn with Sponsorship Dusra Tarika YouTube se Paisa kamane ka sponsorship hai, sponsorship kya hota hai, aap log dekhte honge jab aap kisi ka video dekhte Ho vah video ke bich mein main kisi application ya FIR kisi website ke bare mein batata hai. ki yah application is tarike se kam karta hai, ya FIR yah koi trading application hai aap is se paisa kama sakte hai. wo sabhi videos sponsor hote hai.

agar aapko koi sponsorship deta hai, to vah aapko bolega ki meri application ka aapko review karna hai, aap ko batana hai ki yah application is tarike se kam karta hai, vah application kisi bhi tarike ka ho sakta hai. ya FIR vah website ho sakta hai.

to us application ke bare mein aapse video banvane ka vah aapko Paisa dega, aur aap bahut ziyada paisa kama sakte hai, sponsorship ke through, kyunki sponsorship ka aap achcha Paisa charge karte ho, Kareeb aapko ek views per ek rupya mil jata hai. agar aapke 10000 views a rahe hain to aapko 10,000 rupya mil jaega. us sponsor Se.

aur jyada bhi mil sakta hai. depend sponsor owner, to ismein aapki acchi earning Ho jaati hai. to is tarike se aap youtube ke through paisa kama sakte hai.


(2) Earn with your Business Ab main aapko batata hun ek teesra Tarika jo aap YouTube se Paisa Kama sakte hain, ab teesra Tarika ya hai aap khud ka koi business start kar sakte hain, aur apne us business ke bare mein apni channel ke upar mein video banaa sakte hain.

business aapka koi bhi ho sakta hai, aur aapke audiance vah chij ko buy karegi aur aap ko bahut achcha profit hoga. acche paise aap Kama sakte hain apna product sale karke, Jo Bhi brand aapne khada Kiya hai.

to yah teesra Tarika hai, aap khud ka koi product sale kar sakte hain. YouTube se Paisa kamane ka aur yah sabse tagada Tarika hai, agar aap achcha business chala rahe ho to bahut jyada Paisa Kama sakte ho YouTube ke through apne business mein.

To yah hai YouTube se Paisa kamane ke teen tarike ae Jahan se aap kafi jyada Paisa Kama sakte hain. to Aaj hi apna channel start kar de and YouTube se Paisa kamana bhi.

Leave a Comment