Reused Content on YouTube Channel? How Fix This?

Doston aaj ki is post mein ham baat karne Wale Hain reused content ke bare mein, doston agar aapane apna YouTube channel monetization ke liye apply kiya hai, aur YouTube ki taraf se aapko monetization to nahin mila, aap ke channel ka monetization, on nahin hua, balki aapko ek problem a gai YouTube ne aapko bola ke aapke channel per reused content hai.

aur iski vajah se aapka channel monetize nahin kiya ja Sakta, aur YouTube usmein aap ko 1 month ka time deta hai, ki aap ek mahine ke bad fir se apne channel ko monetization ke liye apply kar sakte hain. lekin usmein pahle aapko kuchh chij change karna hoga. Also, Read-How To Get Adsense Pin in your Address

youtube aapko batata hai, agar aapko dobara apply karna hai to aap isme jo reused content hai usko Sahi Kare, aaj main aapko complete detail ki sath mein bataunga kaise aap log reused content ko solve kar sakte hain aur apne channel ko monetize kar sakte hain.

Reused content Kiya hota hai?

Problem ko solve karne se pahle hamen Janna hoga reused content kya hota hai, jab aap apne channel ko apply kiye aapke channel ko YouTube ne check kiya aur unhone Paya is channel per reuse content hai. ab aapko bhi yah Janna hoga ki reuse content kya hota hai.

tabhi aap usko solve kar payenge agar aapko ya nahin pata hoga ke reuse content kya hai to aap log usko fix nahin kar paoge and aise mein aapka channel monetize Nahin Ho payega.

reused content is content ko bola jata hai, jaise ki man lo kisi person ne YouTube par video upload kiya aur aap usko upload hone ke bad usko download kar liye aur download karne ke bad aap usko Apne hisab se edit karte ho, aur aapko lagta hai ki main yah edit kar liya to ye Mera content Ho Gaya. jabki aisa nahi hai. Also Read: You Already Have an Adsense Account, How To Fix This?

reuse ka sidha sidha matlab hai kisi chij Ko dobara use karna aur aap bhi vahi kar rahe ho, kisi ne video upload kiya Apne channel per, aur aap usko dobara se use kar rahe ho to re-use content isi ko kaha jata hai.

agar aap kisi ka video Apne channel par dal rahe Ho Jo already kisi channel per Dala hua hai to aise main aapko reuse aaega, agar aap apna khud ka bhi video dobara dalte ho to vah bhi usi category mein aaega.

Jaise Aaj aapane koi video upload kiya aur usi video ko aap dobara se upload karte ho, to vah usi category mein aata hai. agar aapne aisa kya hua hai, kisi aur ka video Dala Jo already kisi channel per upload hai, to YouTube check karta hai aur aapko yah bata deta hai ki aapko aise kuchh videos delete karna hoga.

jo pahle se kisi aur channel par available hai, to Dhyan rahe aapko kabhi bhi kisi ka video nahin dalna hai aapko apna hi video dalna hai. Also read: AdSense Failed identity verification

Reused Images Problems?

Doston reuse content main sirf video hi nahin aata hai, agar aap Google se koi bhi image download karke use karte ho, to vah bhi usi category mein aata hai, ya FIR Google se hi nahin kisi video ka app thumbnail download karte ho aur usko Apne video per use karte ho to vah bhi ISI category mein aata hai.

yani kahne ka matlab hai aap kisi ka video ya FIR images use karte ho, to vah sabhi vahi category mein aaenge, aur aap aise mein Apne channel ko monetize ke liye apply karenge, to ek to aapko time Bhi jyada lagega jaldi se vah log reply nahin karenge.

kyunki vah log bariki se check karte hain, aur aise mein final aapko bol diya jaega ke aapke channel per reuse problem hai. aapko ye fix karna hoga, tabhi aap apne channel ko monetize kar sakte hain. to Dhyan rahe kisi ka Na to video aur na hi images use karna hai.

Aapka channel monetization on ho gaya hai, tab aap agar apni video mein topic clear karne ke liye kisi ka Chhota sa clip video use karna chahte ho, ya FIR koi image add karna chahte ho, to uska aap use kar sakte ho. aap ko bad mein problem nahin aaegi.

lekin Dhyan rahe jiska clip aap use kar rahe ho, ya FIR image use kar rahe ho vah aapko copyright de sakta hai. kyunki vah content uska haim lekin haan aapko reuse problem face nahin karna padega. starting mein yah problem aati hai.

kyunki vah log ache se check karte Hain, to jab aapka channel naya Ho aapne monetization ke liye apply kiya ho, tab aapko yah galti nahin karni hai, aapko apna clear content rakhna hai. monetize on hone ke baad use kar sakte ho jab aapka channel monetize ho jaaye.

How to Solve Reused content on youtube?

To ab doston baat karte hain aap log is problem ko kaise solve kar sakte hain, is problem ko solve karne ke liye aapko Apne channel per dekhna hai, maine kisi ka kuchh use to nahin kiya, aur agar main kisi ka video clip ya FIR main images use kiya hai, jo already YouTube per kisi aur ke channel per upload hai, to us content ko aap ko delete karna hoga.

aur jo aapka real content hai jo Genuin content hai, jo aapane khud Se create karke dala hai aap hi ke videos Hain unko aapko Rahane dena hai, aur jo bhi copy videos the unko delete karna hoga. aur aapki Jo problem hai vah solve ho jayegi.

lekin Dhyan rahe Jo videos aap delete karoge, unka Jo Bhi watchtime hoga vah decrease ho jaega, aur agar aapka 4000 ghante ka watch time unhi video se complete hua tha, Jo videos aapane delete kar diye to aapka watch time bhi decrease ho jaega, aur aise mein aap dobara se watchtime ko complete karenge tabhi jake aapka channel monetize Ho payega.

aur agar UN video se complete nahin hua tha, aapke real content se complete hua tha tab aapka channel monetize ho jaega kyunki aapka watchtime kam nahi hoga. wo videos jin se watchtime complete hua tha wo video abhi bhi aapke channel par hai, to aapka watchtime bhi pura rahega.

bina kisi problem ke aap dobara se apne channel ko monetization ke liye apply kar sakte ho, aapka channel monetize ho jayega.

Leave a Comment