Doston aaj ki is post mein ham baat karne Wale Hain kaise aap apna Google AdSense pin pa sakte hain, agar aapne apna Google AdSense pin apply kiya, lekin aapka AdSense pin aapke address per aapko nahin mila, Kai bar aapane apply kiya lekin fir Bhi aapka Google AdSense pin aapke address per nahin pahunch pa Raha hai.
to doston Aaj main aapko complete jankari Dunga kaise aap apne AdSense pin ko Apne address per Manga sakte hain. aur kya reason hote hain kis wajah se aapka pin aapke address per nahin pahunch pata hai Complete jankari me aapko dunga aapki har problem solve ho jayegi. Also, Read: AdSense failed identity verification-Monetization off
Why do we need an Adsense PIN?
Doston AdSense pin hamare liye kafi jyada mahatvpurn hai, kyunki yah hamari mehnat ka last stage hota hai, humne Apne YouTube channel ya FIR Apne blog per jo bhi mehnat ki hai yah uska last stage hai. agar yah AdSense pin hamen mil jata hai to adsense hamari payment hamare Bank mein transfer kar deta hai.
humne Apne YouTube channel par kafi jyada mehnat ki aur apne blog per kafi jyada mehnat ke isiliye taki ham Apne channel aur apne blog se Paisa Kama sake, aur isiliye ham log yahan adsense ka approval lete hain.
kafi mehnat karke aur approval milne ke bad adsense ka kuchh process hota hai jo vah aapke address ko verify karta hai, aur vah hota hai AdSense pin ke through aur isliye ham AdSense pin apply karte hain. aur Google ki team AdSense pin hamare address per send karta hai.
aur tab ham usko verify karte hain, verify hote hi adsense hamari payment ko hamare bank account mein transfer kar deta hai. aur isiliye hamen adsense pin ki itni jyada jarurat Hoti hai.
agar pin nahi milta to adsense apna payment hold karke rakhta hai hamare bank me transfor nahi karta. isiliye kisi bhi tarike se hamara AdSense pin hamare address per mil jaaye taki usko jald se jald verify karke apna payment Google AdSense se utha sake.
Why couldn’t Google Adsense-pin reach your address?
Doston pahle main aapko batane wala hun aapka Google AdSense pin aap ke adress per kyon nahin pahunch pata, kya reason hota hai, to doston jab aap apne AdSense pin ko apply karte ho tab aap usmein apna adress dalte ho aur usi adress per aapka adsense pin Google ki team send karti hai.
agar aap apply karte time address ke andar Jara si bhi mistake kar diye to aap ka pin aapke address per nahin pahunch payega, aur yahi ek reason hota hai aap jab apply karte ho tab aap address mein kuchh Na kuchh mistake kar dete ho. aur usi vajah se aapka pin aapke address per nahin pahunch pata.
Lekin doston aap tension Na le agar main aapko yah bataya to main aapko sabhi solution Dunga kaise Apne adsence pin Ko pa sakte hain.
How To Get AdsensePin in My Address?
Ab dost to ham baat Karte hai aap apna adsense pin kaise pa sakte hain. kyunki aapne apply kiya tha lekin aapke address per pin nahin pahunch paya. ab aap apne AdSense account mein kya change karenge jisse ki aapka pin aapko mil jaaye.
doston aapne apne address mein kuchh mistakes kiye Hain aapko address main mistakes Ko sudharna hoga, tabhi aapko pin mil payega. ab main aapko batata hun kaise aap Sahi tarike se apne AdSense account mein apna adress dalenge.
Dekho dosto agar aapane first time apply Kiya tha, aur aapko receive nahin Hua, ab aap second time apna pin re-send karna chahte hain, means aap dobara apply karna chahte hai. to agar aap ISI tarike se Bina kuchh change kiye apply karenge to is bar bhi aapka pin nahin mil payega.
Pin Re-send karne se pahle aapko Apne address ko Sahi tarike se check karke change karna hoga uske bad hi aapko Apne pin ko Re-send Karna hai. aur agar aap third time ya FIR second time apply kar rahe hai, tab bhi aap ko yahi process Karna hai.
Sahi address dalne ke bad agar aap pin re-send karte ho to aap ka pin hundred percent aapko mil jaega. ab Sahi address aapko dalna kaise hain vah dekhte Hai.
Enter a Correct Address in Adsense-Get Adsense Pin?
Aapko Sahi address kaise dalna hai. dekho normally aapane Jo apna AdSense account mein adress Dala hoga vah Apne kisi document Se hi Dala hogam lekin ab aap bologe ismein mistake kahan Hui batata hun.
dekho doston aap ko jo address dalna hai yahan per aapko option milta hai apna Name dalne ka uske bad mein address line 1 address line 2 aur uske bad mein aapko City dalne ka option Postal-code dalne ka option and aapka state aata hai. aur mobile number optional hota hai vah dalo yah mat dalo, jaise ki aap niche image me dekh sakte hai.
doston aapko adsense mein vah name dalna hai jo aapke PAN card ya FIR government document mein hai, aur wahi doccument jo adsense support karta hai.
by default aapke youtube channel ya Gmail ka name Adsense utha leta hai, usko change karke Apna document wala name dalna hai. ab address line main aapko jo address dalna hai aapke Aadhar Card ke Piche main aapko address mil jaega.
ya FIR aapka koi aur document hai usmein aapka address hai, to aapko usme jo address hai wo dalna hai, address line 1 mein. ab address line 1 mein jo address daloge vah aapko same same ISI tarike Se dalna hai ek bhi dot, miss nahi karna hai.
agar kahin ek dot hai to aapko lagana hai. ab address line 2 ye kis liye hota hai. doston agar aapka address bada hai jo line 1 me nahi aa sakta yani address long hai, tab aap is line 2 ka use kar sakte hai.
gar aapka address long Nahi hai chota hi address hai jo ki line 1 me hi aa jayega, tab aap line 2 ka use nahi karenge, balki isme apna ek contact mobile number dalenge Kaise, example? (My contact Number is 9090711863 ) aise dal Dena hai.
ab aur adress aapko kaha Se kaha tak dalna hai, yah bhi Dhyan Dena hai, doston City aur pincode aur state Inka section AdSense main aapko alag Diya hota hai. to aapko usi section mein inko dalna hai address line 1 aur address line 2 mein inko nahin dalna hai.
Jo aapka main address vahi line 1 and line 2 me dalna. aur City aur pincode aur aapka state, inko inke section me dalna. ok ab yahan Tak aapka address complete ho jata hai. save kar lenge, aur ab apna pin Re-Send Karenge.
Ab aap ka pin aapke address per hundred percent pahunch jaega. aur aap isko verify kar sakte hain pin pahunchne mein 1 se 4 week ka time hota hai. iske bich mein kabhi Bhi aapka pin aapke address per a sakta hai. aur aap ko Apne post office jakar dekhte rahana hai ke pin aaya ya FIR nahin aaya vahan per bhi aapko dekhte rahana hai.
aur waise to ab aapne number diya wo khud se aapko call kar denge ke aapka pin aa gaya le jao, uske baad aap la sakte hai.