VN Editor Profesional Video Editor-Android/IOS

Doston aaj ki is post me ham Baat Karne Wale Hain, VN Editor App ke bare mein, VN editor professional video editing app hai, Jo Android and IOS donon ke liye available hai, aur yah ek bahut hi jyada powerful video editing application hai, jiski madad se aap apni videos bahut hi professional way main edit kar sakte hai. Earn Par Day 3000 rupees

aur ismein aapko bahut sare aise features mil jate Hain, Jo ki aapko aur application mein paid version mein milte Hain, lekin yah aap bilkul free hai, aur aap is application se bahut hi professional tarike se apni video ko edit kar sakte hain.

Yah bilkul kinemaster application ki Tarah hai, aapko pata hi hai kinemaster ek bahut hi professional video editor app hai, jo mostly har editor use karta hai.

agar aap apne mobile se video ko edit Karte Hain to aap log kinemaster application ka use jarur Se ki honge, tu yah same kinemaster ki tarah hi hai. ismein aapko har EK vah feature milega jo aap kinemaster mein use karte ho.

Aur doston mein aapko VN editor ke bare mein complete jankari dene wala hun, kaise yah app kam karta hai aur kaise aap apni videos ko edit kar sakte hain. instagram followers kaise badhaye

Benefits Of VN Editor?

Doston VN editors se aap bahut jyada benefit utha sakte hain, aap is App ki madad se aap kisi bhi tarah ki video ko edit kar sakte hain, agar aap apne YouTube videos edit karna chahte hain, to vah bhi kar sakte hain, agar aap apne tik tok videos ko edit karna chahte hain to vah bhi kar sakte hain, aur agar aap Instagram Facebook inke videos edit karna chahte hain to vah bhi kar sakte hain.

matlab ki aapko yahan per har aspect ratio videos ko edit karne ka option milta Hai, aap kisi bhi tarah ki videos ko yahan per edit kar sakte hain.

Aur sath hi sath ismein aapko bahut sare free music and pre-set mil jaate Hain, Jo aap apni videos mein use kar sakte hain, aapko yahan per bahut best music free mein milte Hain, Jo aap apni videos ke andar use kar sakte hain, Bina kisi copyright ke, aapko kisi bhi tarike se copyright nahin aaega, yahan per Jo music milte Hain vah free hote hain.

VN Editor Features?

  1. Add your video Template, choose different options, like TikTok, Instagram reels, Instagram stories.
  2. use multiple filters for your videos?
  3. Make slo-mo/Fast Easily your videos?
  4. Easily split your videos?
  5. Trim your video clip?
  6. Apply FX your videos?
  7. Extract Audio Easily in your videos?
  8. Use Border in your video?
  9. Crop video clip?
  10. Rotate?
  11. Mirror
  12. Flip
  13. Reverse
  14. Zoom
  15. ForwardAdd Best title fonts
  16. Presets?
  17. Chroma key remove green background?
  18. duplicate project?
  19. use multiple layers?

Best Slo-Motion Video Editor?

Dost ho ya ek best slow motion editor bhi hai, agar aap apni video slow motion mein edit karna chahte hain, fast motion mein edit karna chahte hain, to yah application aapke liye bahut jyada best rahega, aap kisi aur editor mein slow motion video ko edit karenge apni normal video ko, to usmein aapka Jo video hai vah rukne lagta hai.

atak atak ke chalta hai, itna acche se aapka video slow motion mein edit nahin Ho pata, lekin is app mein slow motion video karne ke liye aapko ek bahut best feature Diya Gaya Hai, Jahan se aap apni videos ko best slow motion mein convert kar sakte hain, aur easily kisi bhi part ko aap slow motion and fast motion mein jo hai aap apni video ko edit kar sakte hain.

Main khud is application ki madad se apne kafi videos slow motion mein edit kiye Hain, aur mere ko jo result Mila Hai vah kafi jyada best mila hai, kafi jyada professional and smooth tarike se aap apni video slow motion me edit kar sakte hai.

How To Use VN Editor?

To bhai log dekho ismein features to unlimited hai, use karoge to aapko pata chalega, ab main aapko batata hun Kaise aap log jo hai, VN editor app ka use karke apni video ko edit kar sakte hai, to sabse pahle dekho aapko yah Jo application hai, aapko Play Store per mil jaega aur link main yahan per bhi de Raha hun.

VN EDITOR is link par click karo aur aap isko Play Store se jakar install Kar Lena Play Store par available hai. ab use kaise karoge vah main aapko Bata deta hun.

Dosto application ko aap install kar loge, aap uske bad open karna to aapko ek plus ka sign dikhega jo aapko niche image mein show ho raha hai.

aap is per click karenge to aapko New project select karne ke liye bola jaega, Jaise ki aap is wale image mein niche dekh sakte hain.

apna yahan per project ko select karenge, ab aapki gallery open ho jayegi ab aap Jis video ko aap edit karna chahte hain vah select karenge.

select karne ke baad right arrow hai is par click karenge, aur ab aapka jo editor hai wo successfully aapke samne pura open ho jaega kuchh is tarike se aap yah wale image mein dekh sakte hain.

VN Editor Profesional Video Editor-Android/IOS

Ab yah aapka pura editor open ho chuka hai, ab yahi se aap apni video mein har EK feature ka use karke apni video ko professional tarike se edit karenge, sabse pahle aapko upar mein ek option show ho raha hai, original aap is per click karenge to aap ko ratio select karne ke liye options mil jaenge.

aap is video ko YouTube ke liye edit karna chahte hain, ya FIR tik tok ya FIR main other platforms to apna aspect ratio aap choose kar lenge, aur uske bad mein aap log jo hai vah apni video ko edit karenge, ab ismein aapko yahan per ek option dekhega split ka, apni video ko play karenge aur apni video mein jo bekar part Hai jisko aap apni video mein nahin rakhna chahte us part ko aap is split option ki madad se cut karke nikal denge.

aap apni video ko play karenge aur dekhenge cut karenge aur usko part ko jo aap apni video mein nahin rakhna chahte usko delete kar denge. is tarike se aap apni video ko split karke apni video ko sahi se edit karenge.

aur agar aap kisi part ko slow motion mein karna chahte hain to speed ka option milta hai, aap log is option per click karke apni speed ko manage kar sakte hain, aap is speed ko mines karenge to aap ka video slow motion mein Banega, aur agar aap log speed ko plus karenge to aap ka video fast motion mein jaega.

aap jaisa chahe vaisa kar sakte hain, aur filter ke option per click karenge to aap apni video mein alag alag tarike se filter ka use kar sakte hain. aur alag alag tarah ke yahan per bahut sare features mil jaate Hain. jinka aap use karke apni videos ko bestway mein edit kar sakte hain.

aur agar aap apni video me koi music ka use karna chahte hai to music wale option par click karke use kar sakte hai. jab aap ka video edit Ho Jaye, to aapko export ka option milta Hai, right side uper kaune main.

export option par click karenge aur aap apni videos ko export kar lenge, save to album option par click karenge, to aap ki gallery mein video save ho jaega.

aur aap apne videos ko Jahan Bhi aap chahe jiske liye aapane edit Kiya Hai, vahan per aap apni video ko upload kar sakte hain.

Leave a Comment